kyun marta hoon itna tum par mujhko bhi maloom nahin !!
Hosh ganwa baitha hoon tabse jab se dekha hai tumko !
kaise pahuncha hoon apne ghar mujhko bhi maloom nahin !!
Jheel samandar meena saaghar un sharmeeli aankhon mein !
kya kya maine dekhe manzar mujhko bhi maloom nahin !!
Deewana hoon jane maine kis se kya kya bol diya !
kitne hain ilzaam mere sar mujhko bhi maloom nahin !!
Milta hoon to haal wahi hai bina mile bhi haal wahi !
kab hoti hai aankh meri tar mujhko bhi maloom nahin !!
Raat raat bhar haath uthakar kya kya maangun main rab se !
kyun kehta hoon khud ko kafir mujhko bhi maloom nahin !!
No comments:
Post a Comment