Wednesday 19 October 2011

Khwaabon se haqeeqat mein haqeeqat

se khwaab mein , Ye haadsa ajeeb mere


sath ho gaya ! Main khud hi gunahgar


hoon ilzaam doon kisko, Rastey me jo


mila tha kyun rastey mein kho gaya !!

Friday 24 June 2011

Dariya ban ker failogey to sagar mein mil jaogey,
Jiska hona nahin chahte us key he ho jaogey,
Suraj ho tum suraj ban ker surjaj sey ja takrao,
Khud ko na pehchanoge to taaron mein kho jaogey .

Tuesday 7 June 2011

ek tera intezaar hai aur ek qazaa ka ! ho jaayenge usi ke jo bhi pehle aa gaya !!

Dard aankhon se behta raha raat bhar ,
Mera aahon se rishta raha raat bhar .
Tum the majboor aur main tadpata raha ,
Maut apni se ladta raha raat bhar !


Jaane kya hai jo seene mein jalta raha ,
Mom sa kuchh pighalta raha raat bhar .
Gham ne kaghaz pe barsaat ki is qadar ,
Mit gaya jo bhi likhta raha raat bhar !


Teri tasveer rakh di khafa ho gaya ,
Khud hee phir maan jaata raha raat bhar .
Tu nahin hai yahaan phir bhi dhoondha tujhe ,
Yoon hi aawaara firta raha raat bhar !


Dardo-gham le liye pyar ke naam par ,
Dil se apne jhagadta raha raat bhar .
Hanste hanste tere saath roya tha par ,
Rote rote main hansta raha raat bhar !


 Pyar kehte hain taaqat hai sabse badi ,
Baat ye hi parakhta raha raat bhar .
Itna kamzor paya hai khud ko ki main ,
Aainey se bhi darta raha raat bhar !


Yaad tujhko karunga na kal se kabhi ,
Lakh qasmein uthata raha raat bhar .
Koshishon ka nateeja ye nikla magar ,
Khwaab tera sanwarta raha raat bhar !


 Khwaab tera sanwarta raha raar bhar ..

Monday 30 May 2011


Iitne pyare kyun lagte ho mujhko bhi maloom nahin !
kyun marta hoon itna tum par mujhko bhi maloom nahin !!



 Hosh ganwa baitha hoon tabse jab se dekha hai tumko !
 kaise pahuncha hoon apne ghar mujhko bhi maloom nahin !!



 Jheel samandar meena saaghar un sharmeeli aankhon mein !
 kya kya maine dekhe manzar mujhko bhi maloom nahin !!



 Deewana hoon jane maine kis se kya kya bol diya !
 kitne hain ilzaam mere sar mujhko bhi maloom nahin !!



 Milta hoon to haal wahi hai bina mile bhi haal wahi !
 kab hoti hai aankh meri tar mujhko bhi maloom nahin !!



Raat raat bhar haath uthakar kya kya maangun main rab se !
 kyun kehta hoon khud ko kafir mujhko bhi maloom nahin !!

Sunday 29 May 2011

Faaslon ka faisla to theek hai par yoon nahin !
Pyar mein shikwa gila to theek hai par yoon nahin !!

 Uud na paayega ye pinjre ka parinda ab kabhi !
Chhodne ka faisla to theek hai par yoon nahin !!

Ishq khaata hi raha hai husn ke haathon fareb !
Jaane-jaan ye silsila to theek hai par yoon nahin !!

Keh na payenge ghalat hai ye tumhara mashwara !
Jaate jaate hausla to theek hai par yoon nahin !!

Na koi waada na 'kafir' aasra umeed ka !
Umr bhar ka faasla to theek hai par yoon nahin !!









ishq ek aasmaan hai pyare !
apni apni udaan hai pyare !! 

yaad aati hai jab kabhi teri !
 dil se uthti azaan hai pyare !!

 nahin munsif jo main saza doonga !
 kyun badalta bayaan hai pyare !!

phir tu waqte-namaaz aaya hai !
phir mera imtihaan hai pyare !!

husn to duniyadari seekh gaya !
ishq ab bhi pathaan hai pyare !!

tujhko tera jahaan mubarak ho !
mera apna jahaan hai pyare !!

kaise samjhaoon ke dekhe se tumhe !
 jaan mein aayi jaan hai pyare !!

kyun doon ilzaam bewafai ka !
 apna apna imaan hai pyare !!

 gir gaya poori jo miyaad hui !
 zism bhi ek makaan hai pyare !!

 doston dushmanon ki yaan 'kafir' !
 ek jaisi zabaan hai pyare !!


Thursday 26 May 2011

bewafa ho ke bhi wo bawafa sa lagta hai ,
wo to bas yun hi zara sa khafa sa lagta hai ,

haath uthtey hain to bas usko dua dete hain ,
wo khuda to nahin lekin khuda sa lagta hai !!!

Wednesday 25 May 2011

humse milta bhi nahin paas bulata bhi nahin ,
aur mehfil mein humse aankh churata bhi nahin ,
aisa lagta hai samandar se laga baithe hain dil ,
na bhi kehta nahin aur pyaas bujhata bhi nahin.....

Sunday 22 May 2011

fikr na kar ae qaatil jo tu khanjar lana bhool gaya !
main bhi apne chhupne ka har ek thikana bhool gaya !!

muddat baad usey dekha to bhoola tehzeebo-imaan !
seene se lipta hoon seedha hath milana bhool gaya !!

aag laga de aur chala ja raaz ki baat batata hoon !
itni baar bujha hoon ke main aag bujhana bhool gaya !!

 thak ke do pal baith gaya tha mandir ke darwaze par !
kafir keh dala hai kal jo masjid jana bhool gaya !!

waqte-rukhsat jaan bhi doonga bhoola nahin rivayat main !
tu mehmaan nawazi ka wo daur purana bhool gaya !!

dekh rahey the sau parwanein ik parwana jalta tha !
hashr magar us parwane ka har parwana bhool gaya !!

maine to har baar manaya jab bhi rootha wo 'kafir'!
 main jo rootha to wo apna farz nibhana bhool gaya !!

 
masiha aajkal khud hi bada beemar lagta hai !
usey bhi ho gaya shayad kisi se pyar lagta hai !!

usey fursat nahin ik pal bhi jhoothi duniyadari se !
 magar humko usi se hee faqat darkaar lagta hai !!

 mohabbat hai to hai tujhse main kehta hoon kahunga bhi !
khuda ke baad tu hee to mujhe ik yaar lagta hai !!

teri furqat mein barbadi bhi deti hai sukoon mujko !
 main jee uthta hoon jab gham ka jigar mein khar lagta hai !!

kahaan ke sher mere aur kahaan ki shayari 'kafir' !
ghazal kehta hoon jab jeena bada dushwar hota hai !!





Sabka chehra yaad raha par mera chehra bhool gaya ,
Phir saagar pe barsa baadal phir se sehra bhool gaya !!!

Thursday 19 May 2011

Wednesday 18 May 2011

kash aisi har ik sehar aaye , aankh kholoon to tu nazar aaye .
baat jab bhi tu kare jaane ki , waqt sadiyon talak thehar jaaye !!!!!!
bhool jane ki dua ab ye asar lane lagi ,
shakl uski mujhko haathon mein nazar aane lagi....

Friday 11 March 2011



हुसन वालो की अदायें या रब
कैसे हम दिल को बचाएय या रब



वो नशे में करीब लगते हैं
होश में किसलिये आये या रब



अकस अपना वो चूम लेते हैं
ख़ुशी से मर ही न जाए या रब



हाय "काफ़िर " यह नकाब उनका
हम उठाएय या वो उठाएय या रब