Sunday 22 May 2011

fikr na kar ae qaatil jo tu khanjar lana bhool gaya !
main bhi apne chhupne ka har ek thikana bhool gaya !!

muddat baad usey dekha to bhoola tehzeebo-imaan !
seene se lipta hoon seedha hath milana bhool gaya !!

aag laga de aur chala ja raaz ki baat batata hoon !
itni baar bujha hoon ke main aag bujhana bhool gaya !!

 thak ke do pal baith gaya tha mandir ke darwaze par !
kafir keh dala hai kal jo masjid jana bhool gaya !!

waqte-rukhsat jaan bhi doonga bhoola nahin rivayat main !
tu mehmaan nawazi ka wo daur purana bhool gaya !!

dekh rahey the sau parwanein ik parwana jalta tha !
hashr magar us parwane ka har parwana bhool gaya !!

maine to har baar manaya jab bhi rootha wo 'kafir'!
 main jo rootha to wo apna farz nibhana bhool gaya !!

 

No comments:

Post a Comment