Sunday 29 May 2011

Faaslon ka faisla to theek hai par yoon nahin !
Pyar mein shikwa gila to theek hai par yoon nahin !!

 Uud na paayega ye pinjre ka parinda ab kabhi !
Chhodne ka faisla to theek hai par yoon nahin !!

Ishq khaata hi raha hai husn ke haathon fareb !
Jaane-jaan ye silsila to theek hai par yoon nahin !!

Keh na payenge ghalat hai ye tumhara mashwara !
Jaate jaate hausla to theek hai par yoon nahin !!

Na koi waada na 'kafir' aasra umeed ka !
Umr bhar ka faasla to theek hai par yoon nahin !!

No comments:

Post a Comment